Aaj yeh khayaal zehen mein aaya,
Ki kyun tumse kabhi na keh paaya.
Jab jazbaat the dil mein barson se,
Toh kyun kiya itna waqt zaaya.
Tab is dil ne aawaz di mujhko,
Kaha ki na kar gila mat ho pareshaan.
Mat soch ikraar ya inkaar ki baatein,
Kyunki ishq mein nahi kuch aasaan.
Sachchi muhabbat hai agar tujhe,
Toh jawaab mein khushi kya dhundhta hai?
Kar guman is baat ka ki,
Teri har dhadkan pe naam uska likha hai............
wah wah wah!! < kisko soch rahe the? :P >
ReplyDelete